Friday, June 24, 2011

EK DIN UNKEY KABR K NAAM


Majaz lucknowvi sahab ki kabr..yaha har virani kuch kehti hai


apni hi anjuman ke vo sitare hain

mere kabr ki virani sirf tumko pukare


shayad isley ki inko yaad karne koi nahe aata aaj kal



meri anjuman tum logo ka bulava hai jeete waqt kis ke mohabbat me betaab the or aaj iss andhere. aaj sirf tera hi intezaar.............................................



Majaz Sahab ki kabr Paper mill colony k muslim kabristaan me hai.......
yaha ki road ka naam bhi inke nam se hai "MAJAZ LUCKNOWVI MARG"....


MAJAZ LUCKNOWVI MARG






pictures by Syed Hussain Abidi















MUSLIM KABRISTAN PAPER MILL COLONY

Majaz Lucknawi Shayare-Alaam



ADAAB

"UNKE NAAM JISSE HUM SHAYAD BHOOLTE JAA RAHEEN HAI''

SHAYARE ALAAM MAJAZ LUCKNAWI

Name - Asrar ul Haq Majaz (Majaz Lucknawi)

Born - 1909 Rudauli,Barabanki , UP, India.

Nationality - Indian

Genres - Ghazal

Subjects - love , philosophy

His Life
Majaz was born in Rudauli, Barabanki,UP, India. He received his early education in Lucknow and Agra, and did his B.A. at Aligarh Muslim University. He considered Fani Badayuni as his 'ustad'.
He hails from a family of poets and litterateurs. Muztar Khairabadi ,one of the great masters of Urdu poetry, was among his ancestors.He has a sister Safiya, who married to Jan Nisar Akhtar, father of Javed Akhtar.
His Career
Majaz started writing poems while in Aligarh and soon became a popular among the masses and well respected among the literati. He became one of the front-ranking poets of the taraqqi pasand tahreek or Progressive Writers’ Movement.
He is also well-known for composing the anthem, tarana, for Aligarh Muslim University, 'Ye meraa chaman, hai mera chaman, Main apne chaman ka bulbul huun.' "Aahang" and "Saaz-e-Nau" are two of his poetry compilations.
Majaz was madly in love with a woman. She married another man which he could not come to terms with. His poetry was greatly influenced by her and he remained unmarried all his life.

His death
Majaz, a heavy drinker, died alone in a tavern located in the Beldari Lane of Lalbagh, on the cold winter night of 5 December 1955 in the heart of the city of Lucknow.

*************************************************************************************
HIS POETRY

TA'ARRUF

"Khoob pahachaan lo asrar hun main jins-e-ulfat ka talabgaar hun main ishq hi ishq hai duniya meii fitanaa-e-aql se bezaar hoon main chhedati hai jise mizaraab-e-alam saaz-e-fitarat kaa vahi taar hoon main aib jo haafiz-o-khayyaam main thaa haan kuchh is ka bhi gunah-gaar hoon main zindagi kyaa hai gunaah-e-aadam zindagi hai to gunah-gaar hoon main merii baaton main masiihaai hai log kahate hain ki bimaar hoon main ek lapakataa hua sholaa hoon main ek chalati hui talvaar hoon main."- MAJAZ
****************************************************************************
barbaad tamannaa pe ataab aur zyaadaa


"barbaad tamannaa pe ataab aur zyaadaa haanmeri mohabbat kaa javaab aur zyaadaa roye na abhi ahal-e-nazar haal pe mere honaa hai abhi mujh ko Kharaab aur zyada aavaara-va-majanun hi pe maukoof nahin kuchh milane hain abhi mujh ko khitaab aur zyaada uthenge abhi aur bhi tufaan mere dil se dekhunga abhi ishq ke khvaab aur zyaada tapake ga lahu aur mere dida-e-tar se dhadakegaa dil-e-khanaa-kharab aur zyaada ai mutrib-e-bebaak koi aur bhi naghma ai saaqi-e-fayyaz sharaab aur zyaada" -MAJAZ

*************************************************************************************

nanhii pujaaran


ek nanhii munnii sii pujaaran
patlii baaheN, patlii gardan

bhor bhaye mandir aayii hai
aayii nahiiN hai, maaN laayii hai

vaqt se pahle jaag uThThii hai
niiNd bhii aaNkhoN meN bharii hai
ThoRii tak laT aayii hu’ii hai
yuuNhii (?) sii lahraa’ii hu’ii hai

aaNkhoN meN taaroN kii chamak hai
mukhRe pe chaaNdii kii jhalak hai
kaisii sundar hai, kyaa kahiye
nanhii sii ek Siitaa kahiye

dhuup chaRhe taaraa chamkaa hai
patthar par ek phuul khilaa hai
chaaNd kaa TukRaa phuul kii Daalii
kamsin siidhii bholii-bhaalii
kaan meN chaaNdii kii baalii hai
haath meN piital kii Thaalii hai

dil meN lekin dhyaan nahiiN hai
puujaa kaa kuch gyaan nahiiN hai

kaisii bholii aur siidhii hai
mandir kii chhat dekh rahii hai
maaN baRh kar chuTkii letii hai
chupke chupke haNs detii hai
haNsnaa ronaa uskaa mazhab
us ko puujaa se kyaa matlab

Khud to aayii hai mandir meN
man uskaa hai guRiyaa-ghar meN

Majaz Lucknawi (1936)
*************************************************************************************

husn ko be-hijaab honaa thaa

apne majmua-e-kalaam “aahang” ke intisaab meN Majaz Lucknawi likhte haiN,

فیض اور جزبی

کے نام

جو میرے دِل و جگر ہین

سردار اور مخدوم

کے نام

جو میرے دست و بازو ہین


Faiz aur Jazbi
ke naam
jo mere dil-o-jigar haiN
Sardar aur Makhdoom
ke naam
jo mere dast-o-baazuu haiN.
Majaz ke isii majmue ki pahlii Ghazal pesh-e-Khidmat hai.
husn ko be-hijaab honaa thaa
shauq ko kaamyaab honaa thaa
hijr meN kaif-e-iztiraab na puuch
Khuun-e-dil bhii sharaab honaa thaa
tere jalvoN meN ghir gayaa aaKhir
zarre ko aaftaab honaa thaa
kuch tumhaarii nigaah kaafir thii
kuch mujhe bhii Kharaab honaa thaa
raat taaroN kaa TuuTnaa bhii “Majaz”
baais-e-iztiraab honaa thaa
Majaz Lucknawi
1930
حُسن کو بے حجاب ہونا تھا
سوق کو کامیاب ہونا تھا

ہجر میں کیفِ اضطراب نہ پوچھ
خونِ دِل بھی شراب ہونا تھا

تیرے جلووًں مین گھر گیا آخر
ذرّے کو آفتاب ہونا تھا

کچھ تمہاری نگاہ کافر تھی
کچھ مجھے بھی خراب ہونا تھا

رات تاروں کا ٹوٹنا بھی ‘مجاز’
باعثِ اضطراب ہونا تھا

مجاز لکھنوئ

*************************************************************************************

jigar aur dil ko bachaanaa bhii hai


jigar aur dil ko bachaanaa bhii hai
nazar aap hii se milaanaa bhii hai
muhabbat kaa har bhed paanaa bhii hai
magar apnaa daaman bachaanaa bhii hai
jo dil tere Gham kaa nishaanaa bhii hai
qatiil-e-jafaa-e-zamaanaa bhii hai

ye bijlii chamaktii hai kyuN dam-ba-dam
chaman meN ko’ii aashiyaanaa bhii hai
Khirad kii ata’at zaruurii sahii
yahii to junuuN kaa zamaanaa bhii hai

ye duniyaa, ye ‘aqbaa kahaaN jaaiye
kahiiN ahl-e-dil kaa thikaanaa bhii hai

mujhe aaj saahil pe rone bhii do
ke tuufaan meN muskuraanaa bhii hai

zamaane se aage to baRhiye “Majaz”
zamaane ko aage baRhaanaa bhii hai
Majaz Lucknawi
*************************************************************************************

aasmaaN tak jo naalaa pahuuNchaa hai


aasmaaN tak jo naalaa pahuuNchaa hai
dil kii gehraa’iioN se niklaa hai

merii nazroN meN hashr bhii kyaa hai
maiN ne un kaa jalaal dekhaa hai

jalva-e-Tuur Khvaab-e-Muusaa hai
kis ne dekhaa hai kis ko dekhaa hai

haaye anjaam us safiine kaa
naa-Khudaa ne jise Duboyaa hai

aah kyaa dil meN ab lahuu bhii nahiiN
aaj ashkoN kaa rang phiikaa hai

jab bhii aaNkheN miliiN un aaNkhoN se
dil ne dil kaa mizaaj puuchaa hai
vo javaanii ke thii hariif-e-tarab
aaj barbaad-e-jaam-o-sehbaa bhii nahiiN

kaun uTh kar chalaa muqaabil se
jis taraf dekhiye andheraa hai

phir merii aaNkh ho gayii namnaak
phir kisii ne mizaaj puuchaa hai

sach to ye hai ke “Majaz” kii duniyaa
husn aur ishq ke sivaa kyaa hai

Majaz Lucknawi (1945)
*************************************************************************************

aitiraaf


ab mere paas tum aayii ho to kyaa aayii ho?
maine maanaa ke tum ek paikar-e-raana’ii ho
chaman-e-dah’r meN ruuh-e-chaman-aara’ii ho
tal’at-e-mah’r ho, firdaus kii barnaa’ii ho
bint-e-mahtaab ho, garduuN se utar aa’ii ho

mujh se milne meN ab andeshaa-e-rusvaa’ii hai
maine Khud apne kiye kii ye sazaa paa’ii hai

Khaak meN aah milaa’ii hai javaanii maiN ne
shoala-zaaroN meN jalaa’ii hai javaanii maiN ne
shah’r-e-KhuubaaN meN ganvaa’ii hai javaanii maiN ne
Khvaab-gaahoN meN jagaa’ii hai javaanii maiN ne

husn ne jab bhii inaayat kii nazar Daalii hai
mere paimaan-e-muhabbat ne sapar (?) Daalii hai

un dinoN mujh pe qayaamat kaa junuuN taarii thaa
sar pe sarshaarii-o-ishrat kaa junuuN taarii thaa
maahpaaroN se muhabbat ka junuuN taarii thaa
shah’ryaaroN se raqaabat ka junuuN taarii thaa

bistar-e-maKhmal-o-sanjaab thii duniyaa merii
ek rangiin-o-hasiiN khvaab thii duniyaa merii
jannat-e-shauq thii begaana-e-aafat-e-samuum
dard jab dard na ho, kaavish-e-darmaaN ma’aluum
Khaak the diida-e-bebaak meN garduuN ke nujuum
bazm-e-parviiN thii nigaahoN meN kaniizoN kaa hujuum

lailii-e-naaz baraafgandah (?) niqaab aatii thii
apnii aaNkhoN men liye da’avat-e-Khvaab aatii thii

sang ko gohar-e-naayaab-o-garaaN jaanaa thaa
dasht-e-purKhaar ko firdaus-e-javaaN jaanaa thaa
reg ko silsilaa-e-aab-e-ravaaN jaanaa thaa
aah ye raaz abhii maiN ne kahaaN jaanaa thaa

merii har fat’h meN hai aik haziimat pinhaaN
har masarrat meN hai raaz-e-Gham-o-hasrat pinhaaN

kyaa sunogii merii majruuh javaanii kii pukaar
merii fariyaad-e-jigar doz, meraa naala-e-zaar
shiddat-e-karb meN Duubii hu’ii merii guftaar
maiN ke Khud apne mazaaq-e-tarab aagiiN kaa shikaar

vo gudaaz-e-dil-e-marhuum kahaaN se laauuN
ab maiN vo jazba-e-ma’asuum kahaaN se laauuN

mere saaye se Daro tum merii qurbat se Daro
apnii jurraat kii qasam ab merii jurraat se Daro
tum lataafat ho agar merii lataafat se Daro
mere va’ade se Daro merii muhabbat se Daro

ab maiN altaaf-o-inaayaat kaa sazaavaar nahiiN
maiN vafaadaar nahiiN, haaN maiN vafaadaar nahiiN

ab mere pass tum aayii ho to kya aayii ho?-MAJAZ
*************************************************************************************

nazr-e-aligarh


This is the complete nazm of Majaz titled “nazr-e-aligarh” written in 1936. It was later abridged and adopted as the lyrics of A.M.U. Tarana.
ye meraa chaman hai meraa chaman, maiN apne chaman kaa bulbul huuN
sarshaar-e-nigaah-e-nargis huuN, paa-bastaa-e-gesuu-sumbul huuN

har aan yahaaN sehbaa-e-kuhan ek saaGhar-e-nau meN dhaltii hai
kalioN se husn tapaktaa hai, phuuloN se javaanii ubaltii hai

jo taaq-e-haram meN roshan hai, vo shamaa yahaaN bhii jaltii hai
is dasht ke goshe-goshe se, ek juu-e-hayaat ubaltii hai

Islam ke is but-Khaane meN asnaam bhii haiN aur Aazaar bhii
tahziib ke is mai-Khaane meN shamshiir bhii hai aur saaGhar bhii
yaaN husn kii barq chamaktii hai, yaaN nuur kii baarish hotii hai
har aah yahaaN ek naGhmaa hai, har ashk yahaaN ek motii hai
har shaam hai shaam-e-Misr yahaaN, har shab hai shab-e-Sheeraz yahaaN
hai saare jahaaN kaa soz yahaaN aur saare jahaaN kaa saaz yaha
ye dasht-e-junuuN diivaanoN kaa, ye bazm-e-vafaa parvaanoN kii
ye shahr-e-tarab ruumaanoN kaa, ye Khuld-e-bariiN armaanoN kii
(dasht : desert, wilderness; junuuN : frenzy; bazm : gathering; vafaa : faithfulness; shahr-e-tarab : city of mirth; Khuld-e-bariiN : sublime paradise; armaan : hope)
fitrat ne sikhaii hai ham ko, uftaad yahaaN parvaaz yahaaN
gaaye haiN vafaa ke giit yahaaN, chheRaa hai junuuN kaa saaz yahaaN
is farsh se hamne uR uR kar aflaak ke taare toRe haiN
nahiid se kii hai sargoshi, parviin se rishte joRe hain
is bazm meN teGheN khenchiiN haiN, is bazm meN saGhar toRe haiN
is bazm meN aanKh bichaa’ii hai, is bazm meN dil tak joRe haiN

is bazm meN neze khenche haiN, is bazm meN Khanjar chuume haiN
is bazm meN gir-gir taRpe haiN, is bazm meN pii kar jhuume haiN
aa aa kar hazaaroN baar yahaaN Khud aag bhii hamne lagaayii hai
phir saare jahaaN ne dekhaa hai ye aag hamiin ne bujha’ii hai
yahaaN ham ne kamandeN daalii haiN, yahaaN hamne shab-Khuun maare haiN
yahaaN ham ne qabaayeN nochii haiN, yahaaN hamne taaj utaare haiN

har aah hai Khud taasiir yahaaN, har Khvaab hai Khud taabiir yahaaN
tadbiir ke paa-e-sangiiN per jhuk jaati hai taqdiir yahaaN
zarraat kaa bosaa lene ko, sau baar jhukaa aakaash yahaaN
Khud aankh se ham ne dekhii hai, baatil kii shikast-e-faash yahaaN

is gul-kadah paariinaa meN phir aag bhaRakne vaali hai
phir abr garajne vaale haiN, phir barq kaRakne vaali hai

jo abr yahaaN se uThThega, vo saare jahaaN par barsegaa
har juu-e-ravaan par barsegaa, har koh-e-garaaN par barsegaa
har sard-o-saman par barsegaa, har dasht-o-daman par barsegaa
Khud apne chaman par barsegaa, GhairoN ke chaman par barsegaa
har shahr-e-tarab par garjegaa, har qasr-e-tarab par kaRkegaa
ye abr hameshaa barsaa hai, ye abr hameshaa barsegaa-
Majaz Lucknawi
*************************************************************************************
saaraa aalam gosh bar aavaaz hai
saaraa aalam gosh bar aavaaz hai
aaj kin haatho.n me.n dil kaa saaz hai

haa.N zaraa jurrat dikhaa ai jazb-e-dil
husn ko parde pe apane naaz hai

kam_nashii.n dil kii haqiiqat kyaa kahuu.N
soz me.n Dubaa hu_aa ik saaz hai

aap kii maKhmuur aa.Nkho.n kii qasam
merii maiKhvaarii abhii tak raaz hai

ha.Ns diye vo mere rone par magar
un ke ha.Ns dene me.n bhii ek raaz hai

chhup gaye vo saaz-e-hastii chhe.D kar
ab to bas aavaaz hii aavaaz hai

husn ko naahaq pashemaa.N kar diyaa
ai junuu.N ye bhii ko_ii andaaaz hai

saarii mahafil jis pe jhuum uTThii 'Majaz' 
vo to aavaaz-e-shikast-e-saaz hai -MAJAZ 

*************************************************************************************
           
MAJAZ LUCKNAWIRah-e-shauq say ab hataa chaahataa hoon, 
.Koshish husn ki dekhanaa chaahata
  Koi dil-saa dard aashanaa chaahataa hoon, 
Rah-e-ishq main rah_numaa chaahataa hoon.
Tujhii say tujhe chheenana chaahataa hoon,
Ye kya chaahataa hoon ye kyaa chaahataa hoon.
Khataaon pay jo mujh ko maayl kare phir
Sazaa aur aisii sazaa chaahataa hoon.
Vo makhmur nazarain vo mad_hosh aankhain ,
Kharaab-e-muhabbat huaa chaahataa hoon.
Vo aankhain jhukeen vo koi muskuraayaa ,
Payaam-e-muhabbat sunaa chaahataa hoon.
Tujhe dhoondhataa hoon teri justajuu hai ,
Mazaa hai Khud gum huaa chaahataa hoon.
Kahaan kaa karam aur kaisii inaayat,
‘Majaz’ ab jafaa hi jafaa chaahataa hoon.-MAJAZ
*************************************************************************************
aavaaraa
shahar kii raat aur mai.n naashaad-o-naakaaraa phiruu.N
jag_magaatii jaagatii sa.Dako.n pe aavaaraa phiruu.N
Gair kii bastii hai kab tak dar badar maraa phiruu.N

ai Gam-e-dil kyaa karuu.N ai vahashat-e-dil kyaa karuu.N

jhil_milate qum_qumo.n kii raah me.n zanjiir sii
raat ke haatho.n me.n din kii mohanii tasviir sii
mere siine par magar chalatii hu_ii shamashiir sii

ai Gam-e-dil kyaa karuu.N ai vahashat-e-dil kyaa karuu.N

ye rupahalii chhaao.N ye aakaash par taaro.n kaa jaal
jaise suufii kaa tasavvur jaise aashiq kaa Khayaal
aah lekin kaun jaane kaun samajhe jii kaa haal

ai Gam-e-dil kyaa karuu.N ai vahashat-e-dil kyaa karuu.N

phir vo TuuTaa ik sitaaraa phir vo chhuuTii phul_jha.Dii
jaane kis kii god me.n aaye ye motii kii la.Dii
huuk sii siine me.n uThii choT sii dil par pa.Dii

ai Gam-e-dil kyaa karuu.N ai vahashat-e-dil kyaa karuu.N

raat ha.Ns ha.Ns kar ye kahatii hai ke maiKhaane me.n chal
phir kisii shah_naaz-e-laalaaruKh ke kaashaane me.n chal
ye nahii.n mumkin to phir ai dost viiraane me.n chal

ai Gam-e-dil kyaa karuu.N ai vahashat-e-dil kyaa karuu.N

har taraf bikharii hu_ii rangiiniyaa.N raanaa_iiyaa.N
har qadam par isharate.n letii huii anga.Daiiyaa.N
ba.Dh rahii hai god phailaaye hue rusavaa_iiyaa.N

ai Gam-e-dil kyaa karuu.N ai vahashat-e-dil kyaa karuu.N

raaste me.n ruk ke dam le luu.N merii aadat nahii.n
lauT kar vaapas chalaa jaa_uu.N merii fitarat nahii.n
aur ko_ii ham_navaa mil jaaye ye qismat nahii.n

ai Gam-e-dil kyaa karuu.N ai vahashat-e-dil kyaa karuu.N

muntazir hai ek tuufaan-e-balaa mere liye
ab bhii jaane kitane daravaaze hai.n vaa mere liye
par musibat hai meraa ahad-e-vafaa mere liye

ai Gam-e-dil kyaa karuu.N ai vahashat-e-dil kyaa karuu.N

jii me.n aataa hai ki ab ahad-e-vafaa bhii to.D duu.N
un ko paa sakataa huu.N mai.n ye aasaraa bhii chho.D duu.N
haa.N munaasib hai ye zanjiir-e-havaa bhi to.D duu.N

ai Gam-e-dil kyaa karuu.N ai vahashat-e-dil kyaa karuu.N

ik mahal kii aa.D se nikalaa vo piilaa maah_taab
jaise mullaah kaa amaamaa jaise baniye kii kitaab
jaise muflis kii javaanii jaise bevaa kaa shabaab

ai Gam-e-dil kyaa karuu.N ai vahashat-e-dil kyaa karuu.N

dil me ek sholaa bha.Dak uThaa hai aaKhir kyaa karuu.N
meraa paimaanaa chhalak uThaa hai aaKhir kyaa karuu.N
zaKhm siine kaa mahak uThaa hai aaKhir kyaa karuu.N

ai Gam-e-dil kyaa karuu.N ai vahashat-e-dil kyaa karuu.N

muflisii aur ye mazaahir hai.n nazar ke saamane
saika.Do.n changez-o-naadir hai.n nazar ke saamane
saika.Do.n sultaan jaabar hai.n nazar ke saamane

ai Gam-e-dil kyaa karuu.N ai vahashat-e-dil kyaa karuu.N

le ke ik changez ke haatho.n se Khanjar to.D duu.N
taaj par us ke damakataa hai jo patthar to.D duu.N
ko_ii to.De yaa na to.De mai.n hii ba.Dhakar to.D duu.N

ai Gam-e-dil kyaa karuu.N ai vahashat-e-dil kyaa karuu.N

ba.Dh ke is indar-sabhaa kaa saaz-o-saamaa.N phuu.Nk duu.N
is kaa gul_shan phuu.Nk duu.N us kaa shabistaa.N phuu.Nk duu.N
taKht-e-sultaa.N kyaa mai.n saaraa qasr-e-sultaa.N phuu.Nk duu.N

ai Gam-e-dil kyaa karuu.N ai vahashat-e-dil kyaa karuu.N

jii me.n aataa hai ye murdaa chaa.Nd-taare noch luu.N
is kinaare noch luu.N aur us kinaare noch luu.N
ek do kaa zikr kyaa saare ke saare noch luu.N

ai Gam-e-dil kyaa karuu.N ai vahashat-e-dil kyaa karuu. -MAJAZ

************************************************************************************

kamaal-e-ishq hai diivaanaa ho gayaa huu.N mai.n
kamaal-e-ishq hai diivaanaa ho gayaa huu.N mai.n 
ye kis ke haath se daaman chhu.Daa rahaa huu.N mai.n 



tumhii.n to ho jise kahatii hai naaKhudaa duniyaa 
bachaa sako to bachaa lo ki Duubataa huu.N mai.n 


ye mere ishq kii majabuuriyaa.N ma'az-allaah 
tumhaaraa raaz tumhii.n se chhupaa rahaa huu.N mai.n 



is ik hijaab pe sau be-hijaabiyaa.N sadaqe 
jahaa.N se chaahataa huu.N tumko dekhataa huu.N mai.n 



bataane vaale vahii.n par bataate hai.n ma.nzil 
hazaar baar jahaa.N se guzar chukaa huu.N mai.n 

kabhii ye zom ki tuu mujh se chhup nahii.n sakataa 
kabhii ye vaham ki Khud bhii chhupaa huaa huu.N mai.n 



mujhe sune na ko_ii mast-e-baadaa-e-isharat 
'Majaz' TuuTe huye dil kii ik sadaa huu.N mai.n -MAJAZ

*************************************************************************************

 "